Urdu Ghazal Poetry,
Hawa ki zad mein jo aa gaye the, woh aasheyany bikharty dekhy...
Hawa ki zad mein jo aa gaye the
woh aasheyany bikharty dekhy
Kahen pe aoraq reza reza
Kahen pe aoraq reza reza
kahen pe alfaz marty dekhy
Yon raz-e-hasti samjh mein aya
Yon raz-e-hasti samjh mein aya
fasana jan ka silsala bhi
Jo khasta peron ki tehneyon se
khizan mein paty bicharty dekhy
Guzaar do zabt ki sabelon pe
shidat gham ki talkheyon ko
Yeh zakham kya waqt ke saharon pe
sookhy darya bhi bharty dekhy
Tumhara mera to silsala bas
zara si mudat ka silsala hai
Woh log kesy the jo
Woh log kesy the jo
mohabbat mein had se aagy guzarty dekhy
Yeh qismaton ka fatoor hai
jo azal se thehra hoa hai ab tak
Hein sabza zaron mein pair aisy
Hein sabza zaron mein pair aisy
keh jin se panchhi bhi darty dekhy
Tery badalny pe kya gila
jab mujhy kabhi tum mily nahin ho
Main ne sar-e-dhoop rah mein aksar
Main ne sar-e-dhoop rah mein aksar
badan se saey bicharty dekhy
Yeh sal-e-no phir azeeyaton ka
piyam laya hai mery ghar mein
Keh rat kamry ki seehreyon jo
Keh rat kamry ki seehreyon jo
main ne saey utarty dekhy
Khuda kary khair ho Aqeel ab
main jag betha hon jis se dar kar
Woh khawab kya tha keh aag ki zad mein
Woh khawab kya tha keh aag ki zad mein
shehr sary jalty dekhy.
0 comments:
Post a Comment